Join Us:
20 मई स्पेशल -इंटरनेट पर कविता कहानी और लेख लिखकर पैसे कमाएं - आपके लिए सबसे बढ़िया मौका साहित्य लाइव की वेबसाइट हुई और अधिक बेहतरीन और एडवांस साहित्य लाइव पर किसी भी तकनीकी सहयोग या अन्य समस्याओं के लिए सम्पर्क करें

Me shayar na hota to kya hota

Devendra sharma 30 Mar 2023 कविताएँ दुःखद This is my poem for all social events included in thi poem 57042 0 Hindi :: हिंदी

Me shayar n hota to kya hota ?
Kisi sukhe ped ki sukhi dali hota.
Bin chand ki rat kali hota .
Akhir me me shayar n hota to kya hota.
 
1.Bin bhojan ki ,thali hota.
   Kisi gunde ki ,gali hota.
   Bhedbhav ki ,bahti nali hota.
   Me shayad rang,gulabi hota.
Akhir me shayer n ,hota to kya hota.

2.Grahni se lipti,sadi hota.
   Kano me pahni ,bali hota.
   Sharm se aya ,ankh me pani hota .
   Ek sundar si roopdani, hota.
Me shayar n hota, to kya hota.
3.Me shayad ,sand sarkari hota .
   Budhho ki khas, bimari hota.
   Vakt me faili ,mahamari hota.
   Kisi kandho ki ,jimmeddari hota.
Me shayar n hota ,to kya hota.
4. Rajnetano ka, bhashan hota.
     Majdooron ka ,shoshan hota.
     Me jalta diya ek,roshan hota .
     Vyarth me phenka, bhojan hota.
Akhir me me shayar n hota ,to kya hota.
5.Musalmano ki, shan hota.
    Rozo ka ,ramjan hota.
    Subah ki ajan ,hota.
    Hindu ka granth ,puran hota.
Akhir me shayar n hota ,to kya hota.
6.Nagarpalika ka ,karma hota.
   Gatar saf mujhhe,karna hota.
   Ghut ghut ke ,usme marna hota.
    Mere nae par,rajniti ka dharn hot.
Akhir me ........
7. Kheto ka vo,dhan hota.
     Ganv ka ,pahalvan hota.
     Bhoomi ka ,kisan hota .
     Logo ka ,anndan hota.
Akhir.........
8.Kalam ka,kamal hota.
   Ashiko ka rumal ,hota.
   Dukho ka ,janjal hota.
   Muddo ka ,baval hota.
Akhir me.....
9.bachha ek, nadan  hota.
    Police ka ,chalan hota.
    Curuption ki, dukan hota.
    Pustaini koi ,makan hota.
Akhir......
10.lambi sadak ,sunsan hota.
      Aghorinyon ka ,abhiman hota.
      Shavo ka,shamshan hota.
      Kbro ka, kabristan hota.
Or ant me ..me shayar n hota....


                                         Written by
                                    Devendra sharma
                                    Mumbai Maharashtra. 
       

   

Comments & Reviews

Post a comment

Login to post a comment!

Related Articles

शक्ति जब मिले इच्छाओं की, जो चाहें सो हांसिल कर कर लें। आवश्यकताएं अनन्त को भी, एक हद तक प्राप्त कर लें। शक्ति जब मिले इच्छाओं की, आसमा read more >>
Join Us: